Zindagi... Bandagi



Ek adhoori tamanna hai zindagi...
Kuch unkahe lafz hai zindagi...

kabhi behte ashq hain ye zindagi...
to kabhi panapti rashq hai ye zindagi..

Jo kabhi uljhan me fasi yeh zindagi ..
to kahin gulshan me fir khili si zindagi

Har aagaaz se shuru zindagi
aur har anzaam me basi zindagi..

Deewaane ki deewangi me hai zindagi
aur parwaane ke baakpan me hai zindagi

kabhi os ki ek boond si hai zindagi..
kahi dhalte suraj ki roshni bhi hai zindagi

masoom ladakpan me hai zindagi
bekhauf naujawani me hai zindagi

kabhi khusiyon se khafa kyun zindagi
aur ghamon se wafa kyun zindagi

kabhi ek lachaari si hai zindagi
to kabhi ek khumaari hai zindagi

kabhi ajnabi si hai yeh zindagi
to kabhi bandagi bhi hai yeh zindagi

Ishaan : TZP



The exquisite

Bass yun hi tanha hain hum

Bass yun hi tanha hain hum.....

sab se chhup kar jab tanhaaiyon me rote hain..
usse poochte hain, usse sawaal karrte hain ...

Kyun na chah sake woh hamein
kyun na bhoola sake hum unhein
Kyun woh itna yaad aate hain har pal
kyun meethe dard de gaye gujar gaye jo kal
Kyun abb bhi dil me un k liye mohabbat hai saaki ....
kyun abb bhi puraane jakhm ki tees hai baaki

Bin mile hi judaai ka gham kyun .....
jo kadar kar sake na hamaari
un ke liye yeh aankhe nam kyun ...

Is dard me bhi hum mushkurana chahte hain
kyunki tanhaaiyon me bhi bas wohi yaad aate hain ...
uss beete hue kal me hum abb bhi khona chahte hain ...
kyunki aaj ki bheed me hum khud ko tanha paate hain ..

dillagi to dil se hui hai ......par Dil se sikwa kare bhi to kaise..
gustakh dil hi raha na apna abb ...to unse gila karein to kaise..

bikhar gaya hai jahan fir bhi ..
dil ko ab bhi usi aashiyaane ki talaash hai
bin khata mili aisi saza fir bhi ..
be marauwwat is dil ko abb bhi unse hi aas hai

Pooche jo jamaana ..aaj fir se kyun tanha ho tum..
beja un ke hi khayaalon me kyun ho fir se gum..

to abb kaise kare bayaan kyun tanha hain hum
Mere aansoo bas mere liye ...bass apne hain mere gamm ...
is bedard duniya ke liye ...to bass yu hi tanha hain humm...

Bass yun hi tanha hai humm...

Aaj fir dil ne ek tamanna ki

Aaj fir dil ne ek tamanna ki ... aaj fir dil ko humne samjhaaya